Zil Hajj


Zil Hajj

Hajj is obligatory once in a lifetime. The Hajj is the pilgrimage to Mecca, Saudi Arabia. It is the fifth pillar of Islam, a religious duty that must be carried out at least once in their lifetime by every able-bodied Muslim who can afford to do so. The Hajj is a demonstration of the solidarity of the Muslim people, and their submission to God (Allah in the Arabic language).The pilgrimage occurs from the 8th to 12th day of Zil-Hajj, the 12th and last month of the Islamic calendar. Those people who Allah has given wealth and he intended to take it every year. But he does not knows will survive or not until the next Hajj. So who's still on fortunately should be proud and thankful to God that this time was fortunate.



Hajj In Urdu

Hajj zindagi mein aik martabah farz hai dur daraz ke mulkon mein rehne walon aam Musalman bari mushkil aur bari aarzuon aur tamannayon ke baad in moqamaat haj tak puhanch pate hain aur jinhein Allah ne dolat di hia woh chahe har saal yahan punchne ka iradah rakhein lekin inhein kia pata keh aayindah haj tak who zindah rahein ge ya nahi, lehaza haj karne wale khush nasibon ke apne maqaddar par naz karna aur khuda ka shukar ada karna chahiye keh inhain yeh moqa nasib hua, aur puri ahtiaat aur shariyat ki pabandi ke sath haj karna chahiye keh in ki mehnat-o-koshish rayigan na hua balkeh haj maqbul ho. Haj ki qabulyat ke liye jo cheezen buhat ahum hein inhein khud Allah taala ne biyan farma dia

Tarjuma : lehaza jo in mein (haj ke mahinon mein haj ki niyat ker le to ise be hayayi ki batein, nafarmani aur jhagra jaiz nahi haj ke dinon mein aur tum jo nek kaam karo Allah ise khoob janta hai aur saman safar taiar karo aur be shak sab se behtar saman parheiz gari hai aur aye aqal walo mujh se darte raho (sura-Baqra ayat no-197)

Nabi kareem farmate hein. Jis ne Allah ke liye hajj kia be hayai aur gunah ke kaamon se bacha raha to woh Haj se aisa wapis hoga jaise aaj hi us ko is ki maan ne jana hai.

Zil Hajj ki Ibadat

Hazrat Muhammad (S.A) farmate hain keh Allah pak ne mah Zil Hajj ko bari buzurgi aur fazeelat ka mahinah farmaya hai. Aap ne farmaya keh is mah ke 10 din buhat mutabar’rak hain aur is ki ibadat ka buhat sawab hai aur farmaya keh 10 din mein 3 din kasrat ke sath apne rab ki ibadat karo. Vo 3 yom tarwee yani 8 tareekh, yom arfah yani 9 tareekh, yom e nahar zil hajj ki 10 tareekh hain. Yeh 3 din tamam dinon se ziyadah Mubarak hain aur in ki ibadat ka be inteha sawab hai.

Nafil Namaz

Mah Zil Hajj ki pehli shab baad namaz isha 4 rikat namaz do salam se parhe har rikat mein surah Fateha ke baad surah Ikhlas 25, 25 martaba parhni hai. Allah Tala is namaz parhne wale ko be shumar namazon ka sawab ata farmaye ga. Insha Allah.

Pehli shab se dasween shab tak rozanah baad namaz isha do rikat namaz parhe. Har rikat mein baad surah fateha ke surah kosar 3, 3 bar surah Ikhlas 3, 3 martaba parhni hai.

Insha Allah Tala is namaz ki azmat ke sabab Allah pak is ke nama aamal mein be shumar nekiyan ata farma kar be shumar buraiyen mita dega.

Mah zil hajj ki pehli shab se dasween shab tak rozanah baad namaz isha do do rikat namaz parhe pehli rikat mein surah Fateha ke baad surah Baqr ka aakhri ruku aik bar. Surah Ikhlas 15 dafa parhe, is namaz parhne wale ka gunah agar ret ke zarron ke barabar bhi hon ge tab bhi parwar digar aalam apni qudrat kamlah se is ke gunah muaf farma kar insha Allah Tala maghfarat farmaye ga.

Zil Hajj ki pehli jumraat(Thursday) ki shab baad namaz isha do rikat namaz parhe har rikat mein baad surah Fateha ke surah Kosar aik bar surah Ikhlas aik bar parhe. Sadaq Dil se is namaz ka parhne wala apni zindagi mein hi apna muqam e behast bareen mein dekh le ga.

Zil Hajj ke pehle jummah(Friday) ko baad namaz zuhar 6 rikat namaz 3 salam se parhni hai. Har rikat mein surah Fateha ke baad surah Ikhlas 15, 15 martabah parhein. Phir baad salam ke das martaba mandarjah zel kalmat parhein

La Ilaha Illallah ul Malikul Haqqul Mubeen.

Awal o aakhir 11 martaba Darood pak parh kar namaz ki qaboolyat aur bakhshish gunah ke liye khuda tala se dua mange. Insha Allah Tala Allah Pak apni qudrat kamlah se is namaz parhne wale ko is ke gunah muaf farma kar dakhil behish farmaye ga.




Comments