karbala ka waqia in urdu

Karbala ka Waqia

A famous city of Karbala in Iraq. It is 100 km across the north-south from Province Al Karbala. The city, best known as the location of the Battle of Karbala and Imam Hussein shrine. The population is 6 lakh. Which increases the number of people in the month of Muharram. You can read in this page about the event of karbala event detail in urdu and hindi.

 Waqia e Karbala

Nawasa Rasool Hazrat Imam Hussain ki shahadat aalam islam ka karb’naak saneha hai. Aap ne deen ki bunyadi aqdam aur sachayi ke izhar ke liye maidan karbala mein apna aur ahl e bait rasool ki janon ka nazranah de kar deen e maidan karbala mein aik aisa baab raqam kia jis ki nazeer milna na mumkin hai. Aap ki qurbani meraj dars gah insanyat hai. Waqiya karbala ke shahidon ne insanyat ki azmat o jalalat ko wazah kia aur rehti dunya tak aisa namoonah pesh kia, jise kisi bhi dor ka insan faramosh nahi kar sake ga. Imaam Aali moqam R.A ki qurbani wafadari aur khaloos ki aik azeem alamat hai. Aap ne zabardast tahammul aur burdbari se tamam masaib ko bardasht kia aur apni aankhon ke samne apne pyaron ko shaheed hote dekha. Aap ne apne khoon se had fasil qaim kar ke yeh bata dia keh nizam islam ka asal namoonah kia hai. Aap ne apna sar kata kar Nana ki ummat ko bacha lia aur deen islam ka par cham sar buland kia.

Zil hajj ke mahine mein jab keh hajj nazdeek tha, Khana Kaaba aur Makka Mukarramah ke taqaddus ko mehfooz rakhne ki khatir aap ne marasim hajj mein shirkat kiye beghair Makka se Karbala ki janib jane ka faislah ki. Makke se chalte waqt aap ne yeh khutbah irshad farmaya, tamam taareefein Allah ke liye hain. Wahi hota hai jo vo chahta hai. Allah ke sawa koi qudrat kar gar nahi, darood o salam Allah ke rasool (S.A) par. Insanon ke liye mot is tarah lazim kar di gayii hai, jis tarah doshizah ke gale par gardan band ka asar lazim hota hai. Mujhe apne aslaf aur ajdad se mulaqaat ka itna hi ishtiyaaq hai, jitna shoq Yaqoob (A.S) ko yousuf se milne ka tha meri qatal gah moyaiyan ho chuki hai, jahan mein puhanch ke rahon ga. Goyaa mein khood dekh raha hon keh sehra aur biyaban ke bherye sar zameen karbala ke darmiyan mere jism ke tukre tukre kar ke apne bhuke pait aur khali thaile bhar rahe hain. Khuda key likhe se farar mumkin nahi. Jis baat se allah razi hota hai hum ahl e bait bhi is se razi hote hain, hum is ke imtehan aur aazmaish par sabar karein gay aur vo hamein sabiron ka ajr enayat farmaye ga.

Lashkar Husain jo keh 72 nafoos par mushtamil tha aap ke sath mastoorat bhi thin aap sharaf name moqam par punche . Hur ibn Yazid Riyahi aik hazar sipahiyon par mushtamil lashkar ke humrah isi moqam par puncha , ise yeh zumme dari sonpi gayi thi keh vo aap ko kufah ki janib na barhne dein. Aap ne sharaf ke moqam par punchne ke baad apne qafle mein mojood jawanon ko hokum dia keh vo subah tulu hone se pehle daryae farat se pani khemon mein le kar aayein, isi din hur aik hazar sipahiyon ki qayadat mein is moqam par puncha vo aur is ka lashkar piyas se nidhal tha, farzand Fatimah ne hokum dia keh Hur, in ke sipahiyon aur in ke janowaron ko pani se serab kia jaye.

Imam Husain ka qaflah aur lashkar e Hur nenwa ke moqam par punche Ibne Ziyad ne hur ke naam aik khat likha jis mein kaha gia tha keh Husain ke sath sakhti se pesh aao aur inhein aik aise biyaban mein utarne par majboor kar do jahan na pani ho aur na koi panah ga. Is doran zaheer ne Imama ko mashwarah dia keh is mukhtasar lashkar se jung kar na in ke piche aane wale kaseer afrad se jung karne ki nisbat ziyada aasan hai. Imam ne farmaya: “ Mein kabhi in ke sath jung mein pehal nahi karon ga.”

Imam Hussain (R.A) ke is aik jumle se andazah kar skte hain keh aap ka maqsad jung o jadaal se par haiz tha, aap ko sirf shariyat Muhamadi ko bachana tha, aap ke nazdeek zaheri jung mein kam yabi hasil karna na tha balkeh aap is se barh kar Allah aur wasi ahdaf o maqasid hasil karna chahte the. 7 Moharram se Kheyam Husaini ka pani band kr dia gia . Chote chote bachon ki al-atash al- atash ki sadayein buland hone lagein
9 muharram ka din tulu hota hai. Aap ne khandan nabi Hashim ke afrad aur ashab ko jama kar ke kaha keh mein Allah Tala ki behtareen tareef o sana karta hon aur aasaishon aur sakhtiyon mein isi ka shukar ada karta hon . Aye Allah mein teri hamd baja lata hon keh tu ne hamare gharane ko nabuwat ke zariye sharf o ahtaram enayat farmaya. Hamein Quran ki taleem di hamein deen ki samajh boojh ata ki aur hamein (haq ko sunne wale) kan, (haq ko dekhne wali) aankhein aur (Roshan aur noorani) Qalab ata farmaya. Khuda aap sab ko meri taraf se jazaye kheir anayat kare. Meri shahadat ka waqt ab qareeb aaraha hai mein aap sab par se apne bait uthata hon aur aap sab ko chale jane ki ijazat deta hon.”

Yeh pur soz kalmat sun kar aap ke ashab aabdidah ho gaye aur kaha keh aye farzand rasool aap nor e haq ke roshan chiragh hain aap rah hidayat hain. Hamari janein aap par qurban hum aise kathan waqt mein aap ko chor kar kahin nahi jayein gay aur aakhri dam tak aap ke sath rahein gay.

10 muharram ki subah Imama aali Moqam (R.A) ne batil ke khelaf jehad ka faislah kia aur apne khanzadah ke humra maidan amal mein nikle aur aik faislah kun jung ki. Aap ne zindagi bachane ke liye maslahat se kaam nahi lia aur bdi ke samne sinah supar ho gaye. Aap aur aap ke sathiyon ne maidan karbala mein be jigari se larte huye apna aur apni aulad ka khoon de kar deen islam ko bacha lia.




Comments