Namaz in Urdu


Namaz is a special way of worship taught by Allah in the Holy Quran elucidated and explained practically by Prophet Muhammad (Peace be upon him).

Fajir

4 Rakats
2 Sunnat
2 Farz

Zuhr

12 Rakats
4 Sunnat
4 Farz
2 Sunnat
2 Nafal

Asr

8 Takats
4 Sunnat
4 Farz

Maghrib

7 Rakats
3 Farz
2 Sunnat
2 Nafal

Isha

17 Rakats
4 Sunnat
4 Farz
2 Sunnat
2 Nafal
3 Witr
( Wajeb)
2 Nafal
Juma Prayer: It is observed on every Friday.


Namaz in Urdu:

Namaz Islam ke Panch bunyadi arkan mein se aik hai. lughwi maine aur farma bardari ke hain. aik hadees sharif mein aya hai keh jis ne aik namaz na pari iss ke dil par aik siah dagh par gia. aur jitni namazain na parin utne hi siah dagh parte gaye. Quraan karim mein mutaddid jagah namaz qaim karne ka hukum aaya hai. yeh tuhfa meiraj nabwi hai. bawaqt meiraj pachas namazon ka tuhfa mila hai. jo jaldi hi ghat kar panch ra gayin. yeh farzi namazain hain. iske elawa do namazain fajir aur isha ke darmiani arse mein parhi jati hain. magar yeh farz nahi. taharat yani wazu iss ki awaleen shart hai, namaz se qabal dil bhi saaf rakhna chahye aur dorane-e-namaz sirf Allah ki yaad mein hona zaruri hai. mur mur kar idhar udhar deikhna kaan ya naak khujana, aise hi dusre afyaal se bachna chahiye. jis jagah namaz ada ki jarahi ho wo bhi paak ho, rukh qiblah ki janib ho. Namaz ke aakhir mein salam pehle dayein(right) janib aur phir bayein(left) janib phera jaye.


Namaz Timing:


Allah taala hamara malik hai aur khaliq yani paida karne wala hai, is ne apne bandon par raat din mein panch namazein farz ki hain, jin ke naam yeh hain:
Namaz fajir: jo subbah ke waqt suraj nikalne se pehle parhi jati hai.
Namaz zuhar: jo dupehar ko suraj dhalne ke baad parhi jati hai.
Namaz Asar: jo suraj chupne se derh ya do ghante pehle parhi jati hai.
Namaz maghrib: jo suraj chupne ke faran baad parhi jati hai.
Namaz isha: jo suraj chupne ke derh ya do ghante ke baad parhi jati hai.

Hadees: farmaya payare rasul (SAW) ne keh is ka koi deen nahi jo namaz nahi parhta. Nama ka martabah deen Islam mein wahi hai jo sar ka mar tabah insane ke jisam mein hai. matlab yeh hai keh jaise koi shakhs beghair sar ke zindah nahi rah sakta. Isi tarah namaz parhe beghair theek tarah ka musalman nahi ho sakta.

Hadees: aur farmaya hamare payare rasul (SAW) ne keh jis ki aik namaz jati rahi is ka itna bara noqsan hua jaise kisi ghar ke log aur maal-o-dolat sab jata raha.



Comments