Hajj Karne ka Tariqa in Urdu


Hajj Karne ka Tariqa in Urdu,

You can read in this page Hajj karne ka tarika (Tariqa), hajj ki iqsam and ayyam e hajj and some question and answer about hajj in Urdu and Hindi.


Hajj Karne ka Tarika

Hajj kaisi ibadat hai?

Hajj tamam ibadaat ka majmooa hai, is mein namaz ki tarah dua bhi hai aur ajz o inkesari bhi hai. Roze ki tarah is mein jafa kash bhi hai. Zakat ki tarah maal ki qurbani bhi hai aur jehad ki tarah jismani mujahdah bhi hai. Kisi shakhs par haj farz ho to ise hajj ki adaigi mein takheir nahi karni chahiye.

Hajj ki Iqsam

Hajj ki ketni iqsam hai?

Hajj ki teen iqsam hain 1- hajj afrad, 2- hajj tmta, 3- hajj e Quran

1-Hajj afrad mein sirf hajj ki niyat se ahram bandha jata hai aur isi ahraam se aamal hajj ada kiye jate hain.

2- Hajj tmtaa mein hajj kay mahinon mein sirf umerah ki niyat se ahraam bandha jata hai aur umrah ada kar kay ahraam khol dia jata hai. Phir 8 zil hajj ko hajj ki niyat se ahraam badh kar aamal hajj ada kiye jate hain.

3- Hajj e Quran mein aik hi ahraam mein hajj aur umrah ada kia jata hai. Pehle umrah kia jata hai aur is kay baad halaq (sar kay baal asture se saaf karana) nahi karaya jata blkeh isi ahram mein rah kar ahraam ki pabandi ki jaye aur 8 zil hajj se isi ahraam mein hajj kay aamal ada kiye jayein. Hajj afraad mein qurbani mustahab hai. Hajj tamta aur hajj e Quran mein qurbani karna wajib hai. Miqaat se bahir se aane wale in tinon mein se koi bhi hajj ada kar skte han lekin makkha mukaramah mein rehne walon kay liye hajj tamta aur hajj e quran karna mana hai kiun keh Allah tala ne inhein mawaqa ata farma rakhe hain keh vo jb chahein umrah ki sayadat hasil kar skte hain is liye miqaat kay andar rehne wale hajj afrad hi kar skte hain.

Ayyam e Hajj


Ayyam e hajj kon se hain?

8, 9, 10, 11, 12 zil hajj ayam hajj hain.

Ayyam hajj mein kia kia kaam karne hote hain?

Hajj ka pehla din 8 zilhajj hai. Is roz apni qeyam gah hi se haji ghusal kar kay ahram bandh lein gay. Ahraam kay nafal parhein aur tlbiyah prhte huye mina rawanah ho jayein gay aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazein apne kheme hi mein ba jamayat ada karein gay. Ksrat se tlbiyah parhte rahein. Raat mina hi mein qeyam karna sunnat hai.

Hajj ka doosra din 9 zil hajj hai. Is roz fajar ki namaz mina mein parh kar maidan arafaat ko rawangi hogi. Zawal kay baad waqoof arfaat ka waqt shuru hoga. Is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se tobah ki jaye. Zuhar aur asar ki namazein masjide namra mein imam hajj kay piche ada karein ya apne khemon mein ada kar lein aur apna waqt Allah tala ko yaad karte huye aur apne azeez o aqarib aur apne watan azeez ki salamti kay liye ziadah se ziadah duayein karte huye guzarein. Ghuroob aaftab kay baad maghrib ki namaz parhe beghair mazdalfah ko rawanah ho jayein. Mazdalfah puhach kar maghrib aur isha ki namazein ada ki jayein. Raat mazdlfah hi mein guzarein. Mzdalfah jate huye wadi e makhsar ( jahan Abraha ka hathiyon ka lashkar tabah hua tha) kay paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar parhte huye guzr jayein.

Hajj ka teesra din 10 zil hajj hai. Mzdalfah mein waqoof kay baad fajir ki namaz ada kar kay mina rawana ho jayein aur zawal se pehle pehle sirf jamrah uqba (bare shaitaa) ko kankaryan marein. Kankaryan raat ko mazdlfah hi se utha lein. Bare shaitan ko saat knkaryan aik aik kar kay marni hai. jmraat ko knkaryan marne ko rami kaha jata hai. Rami jmraat kay baad qurbani ki jaye. Qurbani kane e liye behtar yeh hai keh Saudi hokumat kay zer intezaam Bank mein qurbani ki raqam jama karadi jaye. Khood qurbani karne ki surat mein buhat se masail pesh aaskte hai. Qurbani karne kay baad sar kay baal mundwayein ya kutarwa lein albattah aurtein apne sar kay chothayi hisse kay baal aik ungli ki por kay barabar khood kaat lein ya apne mehram se ktwa lein. Ab ahraam ki pabandyan khatam ho jayein gi. Naha dho kar apna aam lebas pehan lia jaye. Is kay baad agar himmat aur taqat ho to isi roz wrnah 11, 12 zil hajj ko tawaf ziarat kay liye makka mukarama chale jayei. Ziadah behtar yeh rahta hai keh 11 zil hajj ko suba subah tawaf ziarat kay liye makka mukarama chale jayein aur wahan se wapsi mein zawal kay baad tinon jmraat (tinon shaitaanon ) ko saat saat knkaryan marte huye apne khemon mein chale jayein. Tawaf ziarat 10 zil hajj se le kar 12 zil hajj tk ghoroob aaftab se pehle pehle tk kia ja skta hai. Tawaf ziarat kay baad sayi bhi karni hogi. 10 zil hajj ka din guzar ne kay baad raat mina hi mein qeyam karna hoga.

Hajj ka chotha din 11 zil hajj hai. Mina mein zawal kay baad pehle jamrah aula ( chota shaitaan ) phir jamrah wasta)( darmiana shaitan) phir jamrah uqba (bara shaitan) ko 7, 7 kankaryan aik aik kar kay marni hai . Raat ko mina hi mein qeyam krna hoga.

Hajj ka panchwan din 12 zil hajj hai. Mina mein zawal kay baad se tinon jmraat ko tarteeb war aik aik kar kay saat knkaryan marni hain aur gharoob aaftab se pehle pehle mina ki hadood se bahir nikal jana hai. Wrnah phir mina hi mein thehrna hoga aur terah zil hajj ko bhi rami jamrat karni hogi. Ayam hajj mein agar kisi aurat kay mahana ayam shuru ho jayein to vo hajj kay tamam afyaal baja laye, sawaye tawaf aur sayi kay. Paak hone kay baad vo tawaf aur sayi kare. Takheir ki wajah se aurat par koi kaffara nahi hoga. Rami mard aur aurat ko khood karna hogi . Watan rawangi se pehle tawaf wida karna bhi zaroori hai.

Hajiyon ko makka mukarama aur madina manauwara mein kin baton ka kheyal rakhne ki zaroorat hai?

Jo log hajj karne kay liye makka mukarama jayein, inhein chahiye keh vo wahan puhach kar khana kaba mein ba jamayat namazein ada karein. Koi namaz bhi beghair jamayat kay na honi chahiye. Isis tarah madina manauwara mein bhi masjid nabwi mein bajamayat namaz ada karne ki pabndi ki jaye, is mein kotahi na ki jaye.

Hajj karne kay liye dunya kay mukhtalif elaqon se log aate hain. Vo mukhtalif andaz mein namazein ada karte hain. Kia in ko is silsile mein koi maslah btaya ja skta hai?







Comments