You can read in this page umrah ka tariqa, umra ka tarika in urdu, hindi, tawaf ka tariqa, tawaf ka tarika in hindi, urdu, ahram ki pabandi, Tawaf ki Kaifyat, Tawaf ki ibteda, Astalba and some important question and answer.
Umrah ka Tareeqa
Umrah ka tarika kia hai?
Sb se pehle hajamat waghirah bnwali jaye. Ghir zaroori balon ki safayi kar kay aur nakhun katne kay baad ahraam ki niyat se ghusal kar lein. Phir aik sufaid chadar bator teh band badh lein aur doosri chadar orh lein. Yeh dono chadrein sili huyi na hon. Khsuboo bhi istemaal na ki jaye. Aurton ka ahraam in ka roz marrah ka lebas hai. Ahraam agar cheh air port par bhi badha ja skta hai lekin behtar yahi hai keh ghar se itminan se ahram badh kar nikla jaye. Halat e ahram mein aurton ko apna chehra khula rakhna chahiye. Is par kisi qism ka kapra nahi lgna chaiye.
Ahraam bandhne kay baad do rikat nafal namaz ada ki jaye. Agar makrooh waqt ho to nafal ada na kiye jayein. Nafal ada karne kay baad niyat kijaye. Aye Allah ! mein teri raza aur khushnodi kay liye umrah ada karne ka iradah rakhta hon to ise mere liye aasan bana de aur ise qabool bhi farma le. Niyat karte hi mard zara buland aawaz se aur aurtein aahistah aawaz mein kam se kam teen baar tlbiyah parhein
Labbaika Allahumma labbaik, labbaika laa syarika laka labbaik, innal hamda wan-ni'mata laka walmulka laa syariika lak. is kay baad darood shareef parha jaye aur qaboolyat ki dua mangi jaye.
Ahram ki Pabandi
Halat ahraam mein kia kia pabndiyna shariyat ki taraf se lagayi gayi hain?
Umrah ki niyat karte hi ahraam ki pabndiyan shuru ho jati hain. Halat e ahram mein kisi bhi qisam ki khushboo istemaal nahi ki ja skti . khushboodar sabun, khushboo dar shampoo, tooth paste bhi istemaal nahi kia ja skta, nakhun nahi kate jaskte, baal nahi tarshwaye jaskte, jism se mail kuchel door nahi kia ja skta. Mard sila hua lebas nahi pehn skte, mard band joota nahi pehn skte, hawayi chappl qisam kay chappl pehne ja skte hain. Sar nahi dhanp skte, namaz mein bhi sar khula hi rehna chahiye, haqooq zojiyat ada nahi kar skte, sar mein ya darhi mein kangha waghirah nahi kar skte keh kahin sar ya darhi kay baal toot na jayein. Khawateen halat ahram mein apna chehra khula rakhein , is par koi kapra na lgne paye albattah in ko sar dhanp kar rakhna hoga. Chehrah dhakne ki surat mein inhein dam dena pare ga yani aik bakra ya bakri zabah karni pare gi.
Tawaf ka Tariqa
Tawaf ki Kaifyat
Hazrat jabir R.A) farmate hain jb nabi kareem (S.A) tshreef laye to masjid haram mein dakhil hoye aur hijr e aswad ko boosah dia aur phir dahni taraf chal diye phir teen chakkaron mein ramal kia (akar kar tez tez chalte) aur char chakkaron mein (aadat kay mutabiq) chale. Phir moqam e ibraheem (A.S) kay pas aaye aur farmaya moqaam ibraheem (A.S) aap (S.A) aur baitullah kay drmiyan tha. Phir hijr e aswad ki taraf aaye aur ise boosah dia . Pir safa ki taraf chale gaye.
Kia tawaf kay liye bawazoo hona zaroori hai?
Ji han, tawaf kay liye bawazoo hona zroori hai. Agar doran e tawaf wazoo bar-qarar na rahe to isi wqt ja kar wazoo kia jaye aur az sar e no tawaf kia jaye. Albattah agar tawaf kay ziada chakkar kar liye jayein. Agar tawaf karte karte jamayat hone lage to tawaf ko drmiyan hi mein rok dia jaye aur jamayat se namaz ada karne kay baad baqi chakkar poore kar liye jayein.
Tawaf ki ibteda
Tawaf kahan se shuru kia jaye aur kahan khatam hoga?
Hijre aswad se tawaf shuru hoga aur poora chakkar lagane kay baad hijr e aswad hi par tawaf khatam hoga.
Tawaf kay kul kitne chakkar lagaye jate hain?
Tawaf kay kul 7 chakkar lagaye jate hain.
Tawaf karte wqt bhi kia tlbiyah parha jata hai?
Tawaf shuru karte hi tlbiyah parhna band kar dia jata hai.
Astalba
Aztalba kia hai aur yeh kb kia jata hai?
Tawaf karte wqt mard hazrat aztlba karte hain. Is mein shidha bazoo ahram ki chadar se nikal lia jata hai. yeh aztlba is tawaf mein kia jata hai jis kay baad sayi bhi ho, aur tawaf bhi halat ahram mein hoga. Ahram ki chadar ko dayein baghal kay niche se nikal kar bayein kandhe par dalne ko aztlba kaha jata hai. Aztalba kay elawah kahin bhi kandhe khule na rakhe jayein.
Istalam kia hai?
Hijr e aswad ki sidh mein khare ho kar donon hath kanon tk utha kar kaha jata hai” Bismillah Allahu Akbar Lailahailallah Illah Walillah Hamd”. Aur hijr e aswad ko boosah de kar tawaf shuru kia jata hai aur agar rash ki wajah se hijr e aswad ko boosah na dia jaye to baitullah shareef ki taraf apni donon hathelyon ko kar kay inhein choomne ko aur boosah dene ko istalam kaha jata hai.
Ramal kia hai?
Mardon ko tawaf kay ibtedayi teen chakaron mein ramal karna chahiye. Ramal ka mtlab hai pehlwanon ki tarah akar akar kar chalna. Auratein ramal nahi karein gi.
Multazam kia hai?
Multazam baitullah shareef (khana kaba) kay is hisse ko kaha jata hai jo hijr e aswad se bitullah shareef kay darwaze tk hai. Yeh muqam qaboolyat dua kay moqamaat mein se hai. Haj kay dinon mein is jagah khushbo lagi hoti hai, is liye halat e ahram mein wahan na jayein blkeh qareeb hi khare ho kar dua mangein kiun keh halat e ahram mein khushboo ka istemaal mana hai.waz mein kam se kam teen baar tlbiyah parheinh
Comments