Sehri
There are five fundamental principles of Islam, they are the declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah, prayers five times a dey,Roza (fast), Zakat and perform Haj at Makkah. Here is describing about Roza in detail in Urdu.
Arabic zuban ki mashhoor kitab lughat Qamoos mein “Shehar ” kay baray mein likha hai keh sehar us khanay ko kehtay hain jo subah kay qareeb khaya jaye. Baazon kay nazdeek sehar ka waqt aadhi raat say shuru ho jata hai.
Sehar mein takheer karna afzal hai jaisa keh hadees Mubarak mein aata hai keh Hazrat Syeda yala bin murah (R.A) say rawayat hai keh pyaray nabi (S.A) nay farmaya teen chezon ko Allah tala mehboob rakhta hai
1) Iftar mein jaldi karna
2) Sehri mein takhair aur
3) Namaz kay qayam mein hath par hath rakhna.
Sheri mein takheer karna mustahab hai aur der say sehri karnay mein ziadah sawab milta hai. Yahan zehan mein yeh sawal paida hota hai keh takheer say murad kon sa waqt hai?
Is say murad raat ka chata hissah hai. Ghuroob e aaftab say lekar subha sadiq tak raat kehlati hai. Maslan kisi din 7 bajay sham ko suraj ghurub hua aur phir char bajay subah sadiq huyi. Is tarah ghurub e aaftab say lay kar subah sadiq tak jo 9 ghantay ka waqfa guzra who raat kehlaya. Ab raat kay in 9 ghanton kay barabar 6 hissay kar dijye. 9 ghanton kay 6 hissay kiye to har hissay 1 ½ ghantay ka hua. Ab raat kay aakhri 1 ½ ghantay kay doran subha sadiq say pehlay pehlay jab bhi sehri ki, insha Allah takhair ka sawab hasil hujaye ga.
Sehri karna sunnat hai Allah kay karor ha karor ahsan keh us nay hamein rozah jaisi azeem nemat ata farmayi aur sath hi taqat aur quwat kay liye sehri ki na sirf ijazat marhamat farmayi, balkeh us mein hamaray liye dheron sawab bhi rakh dia.
Sehri kay chand fazail yeh hain:
Hazrat Syedana Anees (R.A) say rawayat hai hai keh sarwar qainaat hazrat Muhammad (S.A) nay farmaya keh sehri khaya karo. Kiun keh sehri mein barkat hai.
Hadees pak mein hai sehri khaya karo kiun keh sehri khanay mein har loqmah kay badlay 60 saal ki ibadat ka sawab milta hai.
Hazrat Syedana Abdullah bin Abbas (R.A) say rawayat hai keh nabi kareem (S.A) nay farmaya teen aadmi jitna bhi khalein. Insha Allah un say koi hisab na hoga. Basharteh keh khana halal ho. Awwal rozah dar aftar kay waqt dusray sehri khanay walay, teesray muhajid jo Allah kay rastay mein Islam ki hifazat karay.
Wazifa Sehri (Sehri ka anmol tohfa):
Sehri kay waqt 7 bar yeh Dua parhein:
Tarjumah : koi ibadat kay laiq nahi sewaye Allah kay jo zindah o qaim hai. Har nafs par jo isnay kamaya hai hazir hai.
Hazrat Muhammad (S.A) nay farmaya keh is dua kay parhnay walay ko Allah be shumar har sitaray kay aik aik hazar nekiyan deta hai (yani jetnay bhi sitaray hain un say hazar guna nekiyan mahamat fermata hai.) utnay hi gunah mitata hai aur usi qadar us kay darjaat buland fermata hai.
Comments