Hazrat Muhammad saw ki Seerat
In this page has been written about Hazrat Muhammad saw ki Seerat. Prophet Mohammad used to like simple food. He used to wear simple and cleaned clothes. He had long hair. He loved Melon fruits and dates. He used a lot of dates in his life. He used olive oil as a medicine.
Hazrat Muhammad ki Zindagi
Muhammad (S.A) ki aadat mubarkah thi keh Allah ki jo bhi nemat mayassar aati aap use shoq se tanawal farma lete ghiza intehayi sadah hoti . Hazrat Abdullah Bin Abbas (R.A) se rawayaat hai keh aap (S.A) zameen par tashreef rakhte aur zameen par hi dastar khan bicha kar khana tanawal farmate. Tek laga kar khana nahi khate the. Aap khane mein sabziyan ziadah pasand farmaya karte the, kaddu (loki) ko pasand tha. Aksar kaddu ki tarkari tanawal farmate the. Gosht kay shorbe mein roti kay tukre daal kar achi tarah gala kar taiyar kia hua khana aap be had pasand farmate the.
Apni hayat mubarkah mein khajoor ka aap (S.A) ne buhat ziadah istemaal kia, aap (S.A) kay ahle khana kay donon khano mein se aik khajoor se taiyaar hota tha, hazrat Aisha farmati hain keh nabi kareem khajooron mein Ajwa Khajoor sab se ziadah pasand thi, aik rawayat kay mutabiq nabi kareem (S.A) ko phalon mein Angoor aur kharboozah buhat pasnd tha. Aik aur rawayat kay mutabiq tajdar kainat ko mitha buhat psand tha. Hazrat Aishah (R.A) Sidiqa Biyan farmati hain , aap mitha aur shehad buhat pasand frmate the.
Hazrat Anas farmate hain keh Nabi Kareem (S.A) pani nosh farmane kay doran teen martabab sans lia karte the aur farmate keh yeh tarika ziadah khushgawar hai aur yeh khoob serab karne wala hai aur Aab Zam Zam khare ho kar nosh farmate the aur aap (S.A) ne jumlah mashroobat mein doodh ko zidah pasand farmaya aap kastoori shehad aur panir ko bhi mashroobaat mein istemaal farmate , aap (S.A) kay zer istemaal bartanon kay naam makhsoos the, aap 10 muharram ki ibadat kay pine ka pialah “ryan” tha, aik doosre pyale ka naam “maghees” tha, aik ka naam “Edan” tha, aik pathar kay pyale ka naam “makhsab” tha aap 10 muharram ki ibadat zer istemaal bartan mitti chandi aur lohe key the.
Hadi konain (S.A) ka pehna hua lebas sada magar saaf sutha hota , kapron mein kurta aap ka pasandidah tareen lebas tha, aap ne the band , chadar topi, amamah aur jb bhi zer tan farmaya, sufaid lebas ziadah pasand farmate the. Is kay elawah sabz chadar aur mantqash lebas bhi ahadees mubarkah mein mazkoor hai. Hazrat Anas Bin Malik (R.A) se marwi hai, aap ko tamam kapron mein yaman ki sabz chadar orhna buhat pasand thi aksar amama istemaal karte the.
Imam ul Anbiya, taj dar kainat (S.A) ka har amal nifasat pasandi ka ainah dar tha, aap jab bhi baal katwate kabhi lambe baal bhi rakhte the, aap ki zulfein kandhon ko choo rahi hoti thi , to kabhi kanon ko lo tak hoti thi.
Hazrat Anas (R.A) se rawayat hai keh aap (S.A) jab raat ko bistar par lette the to aap ki maswak, kanghi aur pani aap kay pas rakhe jate the. Aap (S.A) jab bedar hote to maswak farmate aur wazoo kar kay kanghi farmate. Aap ko khushboo be had pasand thi, aap kasrat se khushboo istemaal farmate, aap khushboo na bhi lagate to jism athar se paida hone wali qudrati khushboo se raste mehak jate the, sahabah karam (R.A) pehchan lete keh aap (S.A) is raaste se guzare hain. Taaj dar kainat jab bhi aainah dekhte to apne parwar digar ka shukar baja late, Hazrat Aisha (R.A) farmati hain aap jab shishah dekhte to dua farmate aye allah jis tarah tu ne meri takhleeq ko haseen kia hai aise hi meri khalq ko bhi haseen bana de, sarwar kainaat (S.A) jo angoothi pehnte the aap (S.A) is mnqash angoothi ko apni mehar kay tor bhi istemaal karte the.
Hadi barhaq (S.A) aankhon mein raat sone se qabal surma lagate the, aur aap (S.A) ne farmaya surma lagaya karo yeh aankhon ki roshni ko tez karta hai, aap sabhi istemal farmate the , Allah kay aakhri nabi (S.A) ne apne asa se Khana Kaba ko 360 Buton se paak farmaya tha, aap zaitoon kay tail ko bator dawa istemaal karte the, zaitoon kay elawah kalonji aur khajoor ko bhi bator dawa istemaal farmate the. Aap (S.A) ne farmaya azeem khajoor ajwah mein har bimari ki shafa mojood hai.
Aap bhi in pyari sunnaton par amal pera ho kar apni dunaya o aakhrat sanwar skte hain. Taj dar kainat (S.A) ki zindagi ka har lamha muslim ummah kay liye mashal rah hai. Tareek insanyat ki wahid zaat tajdar kainat Hazrat Muhammad (S.A) hain jin ki zindagi ka har har lamha mehfooz hai. Allah tala hamein deen islam par amal pera hone aur Rasool Allah ka ishq qareeb aur muhabbat naseeb farmaye. Ameeen

seerat un nabi |
Comments