Roza
There are five fundamental principles of Islam, they are the declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah, prayers five times a dey,Roza (fast), Zakat and perform Haj at Makkah. Here is describing about Roza ka tootna, roza ka tutna, roza torne ka kaffara read in Urdu.
Rozay ka Tootna:
Mandarjah zel wajoohaat ki wajah say rozah toot jatay hain.
Khanay, pinay ya humbistari karnay say rozah jata rahta hai jabkeh roza dar hona yaad ho.
Sotay mein (yani neend ki halat mein) pani pi lia ya kuch kha lia, yam munh khuala tha, pani ka qatrah ya barish ka owla halaq mein chala gia. Roazah jata raha.
Aansoo munh mein chala gia aur aap usay nigal gaye. Agar qatrah do qatrah hai to rozah na gia aur ziadah tha keh us ki namkini puray munh mein mehsoos huyi to jata raha. Pasinah ka bhi yahi hokum hai.
Huqqa, sigar, cigarette, chars waghairah pinay say bhi rozah jata rehta hai. Agarche apnay kheyal mein halaq tak dhuwan nah punhchta ho.
Shakkar waghairah aisi cheezein jo munh mein rakhnay say ghul jati hain. Munh mein rakhi aur thook nigal gaye. Roza jata raha.
Danton kay darmiyan koi cheez chanay kay barabar ya ziadah thi usay kha gaye ya kam hi thi magar munh say nikal kar phir khali to rozah toot gia.
Danton say khoon nikal kar halaq say nichay utara aur khoon thook say ziadah ya barabar ya kam tha magar is ka maza halaz mein mehsoos hua to rozah jata raha aur agar kam tha aur maza bhi halaq mein mehsoos nah hua to roza na gia.
Rozah yaad honay kay bawajood huqqaah liya ya nak kay nathnon say dawayi charayi yak an mein oil dala ya oil chala gia. Rozah jata raha. Albattah pani kan mein chala gia ya dala to roza na gia.
Kan mein dawa dalnay say roza toot jata hai.
Kulli kar rahe the bila qasad pani halaq say utar gia ya nak mein pani charaya aur dimagh ko charh gia rozah jata raha magar jabkeh rozah dar hona bhool gia ho to na tootay ga. Agar qasdan hua. Yun hi rozay dar ki taraf kisi nay koi cheez phainki who us kay halaq mein chali gayi. Rozay jata raha.

Comments