Namaz Mein Dil Laganay kay Tariqay..
1. Jis waqt niyat ap bhanday us waqt soch lay yeh meri akhri namaz hai pata nahi is kay baad namaz miley na miley
yeh hadees se nuksa hai
Jab namaz parho to is ko akhri namaz samjho
jab baat karo to soch samjh kar karo ase baat mat karo kay tumhe mafi mangne pare
or apna khayal un logo kay pass na le jao jin ko ALLAH maal dulat di hai jo ALLAH nay tumhe diya hai Shukar ada karo
2. Yeh soch ley kay zameen kay neche hain kabar mein hain or ALLAH nay ijazat de di Namaz parhney ki
3. Mera janaza rakha hua hai or elaan ho chuka hai kay namaz k baad mera janaza hai to ab kaha jaon ?? marney kay baad to duniya khatam haina to
lihaza ab sirf ALLAH hain akhri bar tuaba karlo phir janaza hai
4. Jitna hum parhte hain namaz mein surtein in kay matlab yaad karlein to is se yeh hoga kay ALLAH hum se kia keh rahe hain kyun kay ALLAH o Akber kehte hain
to ALLAH parday utha dete hian or humare samne hojate hain .yeh sochegein kay ALLAh se batein horahi hain to maza ane lagega
5. Har lafz ko soch kar ada kijiye ghari ki chabi ki tarah na chalaiye jo lafz kaho soch kay kaho agay socho kia parhna hai
6. ALLAH o AKber kehte hi yeh soch lo ALLAH humein dekh rahe hain .. agar hum kisi ko nasihat karein or wo upre neche dekh raha ho to kitna bura lagta hai
koi bari shakshiyat samne ho or wo humein kuch keh raha ho or hum us ki sunay hi na to yeh to buri baat hai to ALLAH hain samne ALLAH Rabul Izzat
SAJDA Karo to ase karo kay ALLAH kay agay rakhdiya sir jhuk gaye un ki chohkat pe sir rakhdiya
Ek shahks nay hindu ne muslanman say kaha hum pathar kay agay sir jhukate hian poojte hain tum bhi to KABA kay agay sir jhukate ho namaz parhte ho
to musalman ne kaha tum pather ko khuda mante ho hum kabay ko ALLAH nahi mantey hum sir ALLAH kay agay jhukate hain sirf rukh ALLAH kay ghar ki taraf rakhte hain
ALLAH humein Sahi NAMAZ parhnay ki taufeeq dey
Comments