Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat

Here is some sunnatain and mufsedat of namaz is describe in detail. Read carefully.

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat:

Yeh cheezen namaz mein sunnat hain

1. takbeer tahrimah ke waqt mardon ko donon hath kanon tak uthana aur auraton ko sine tak uthana

2. Mardon ko naaf ke niche aur aurtaon ko sine par hath bandhna

3. Sana aakhir tak parh na

4. Aauzobillah puri parhna.

5. Bismillah puri parhna

6. Aik rukun se dusre rukun ko muntaqil hone ke waqt Allahu Akber kehna

7. Ruku se uthte huye samiullahuleman hamd aur rabbana lakal hamd kehna

8. Ruku mein subhana rabbiul azeem kam se kam teen martabah kehna aur

9. Sijdah mein kam se kam teen martabah subhana rabbial aala kehna

10. Dono sijdon ke darmian aur attahyat ke liye mardon ko bayain paon par baithna aur sidhe payon khara karna aur auraton ko donon payon sidhi taraf nikal kar kulhon par baithna

11. Darud shareef parhna

12. Darud ke baad dua parhna

13. Salam ke waqt dayain bayain munh phirna

14. Salam mein farishton, moqtad’yon aur nek jinnat jo hazir hon in ki niyat karna aur agar moqtadi ho to imam ke piche hone ki surat mein donon salamo mein imam ki bhi niyat kare aur agar imam ke dayain bayain ho to jis taraf imam ho is salam mein is ki niyat kar le.

Namaz ki Mufsedat:

In cheezon se namaz fasid ho jati hai yani toot jati hai. khua qasad chot jayain ya bhul kar

1. Baat karna khua thori ho khua buhat qasdan ho ya bhul kar

2. Salam karna ya salam ka jawab dena

3. Chinkne wale ke jawab mein yar hamuk-allah kehna

4. Runj ki khabar sun kar inna lilahi wa inna elaihe rajeun Pura thora sa parhna ya achi khabar sun kar Al hamdulila kehna ya ajeeb khabar sun kar subhanallah kehna

5. Dukh takleef ki wajah se aah, oh, ya uf, karna

6. Apne imam ke sewa kisi dusre ko loqmah dena

7. Quran shareef dekh kar namaz mein parhna.

8. Parhne mein aisi ghalti karna jis se namaz fasid hojati hai (jis ki tafseel bari kitabon mein likhi hai).

9. Tamal kaser yani ziadah kaam karna maslan aisa kaam karna jise dekhne wala yeh samjhe keh yeh shakhs namaz nahi parh raha hai ya maslan aik sath donon hathon se koi kaam karna.

10. Qasadan ya bhul kar kuch khana pina.

11. Qiblah se sinah ka phir jana

12. Dard ya mosibat ki wajah se is tarah rona keh aawaz mein haruf nikal jayain.

13. Namaz mein aisi aawaz se hansna jise kam az kam khud sun le

14. Imam se aage barh jana.

Yeh chand mufsidat likh diye hain bari kitabon mein chand aur bhi likhe hain.



Comments