Namaz ki Niyat


Namaz ki Niyat

There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu.

Namaz ki Niyat:


Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein.

Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat:

Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar ki, waste Allah taala ke , waqt zuhar ka rukh mera kaaba shareef ki taraf Allah Akber.

Zuhar ke Char Farzon ki Niyat:

Niyat karta hon char rikat namaz farz zuhar ki, waste Allah talaa ke piche is imama ke rukh mera kaba shareef ki taraf Allah Akber.

Agar tanha yani bila jamait namaz parhta ho to imam ke piche hone ki niyat na kare.

Note: punj waqta namazon mein sirf farz hi ba jamait ada kiye jate hain aur ramzan shareef mein namaz witr bhi jamait se parhi jati hai.


Comments