khushnaseeb Nau-jawan
Asalam o Alikum
Khushnaseeb hai wo jawani jo ALLAH pe fida ki jae dekhein brother's and sister's burhapay mein to har koi ALLAH kay pass jata hai ALLAHitne kareem hain phir bhi rad nahi karte lekin jawani ki ALLAH qeemat ziada lagate hain hum apne liye to jawan gayin (cow) ya bakray ka ghosht(meat) pasand karte hain jis kay azah bilkul thik ho or ALLAH ko hum kia dete hain ap kay or mere Nabi S.A.W nay farmaya
" Jis Ki Jawani ALLAH Pe Fida Hogi Us Ko Hashar Kay Roz Arsh Ka Saya Milega"
(Bukhari Shareef)
Jis ko arsh ka saya milega us ka hisaab nahi ajkal humhari jawani sirf galat kamo mein hi use horahi hai ALLAH nay humein jawani isliye di thi kay hum ganay sunay,larkiyan dekhein,or phir jab burhay hojaein to luat aein ALLAH ki taraf chalo yeh to ek baat hai burhapa agar jawani mein hi muat agai to phir ?? ALLAH nay pooch lia kia laye ho to hum ALLAH ko kia dikhaegein ?? Qayamat kay din humarayNabi S.A.W nay hi pooch lia hum say tumhe mera khayal bhi na aya phir hum kaha se jawab laegein please apni jawani ALLAH ko do tumhe wo milega tum soch bhi nahi saktay yeh duniya jis kay pece hum bhagte hain gurantee de raha hon tumhare qadmo mein hogi yeh duniya ALLAH ki hai
Or Ek or baat 100% apni zindagi ko rakh k bata raha hon
Yeh jo dil ALLAH nay banaya haina is mein koi jaa hi nahi sakta is pe ALLAH ka pehra hai jaega to sirf ALLAH jaega or koi nahi ja sakta na paisa,na aurat kahin or sukoon mil jae ALLAH kay siwa to mujhe akay mardena jo jaega tumhe dukh dard dega dilo kay badshah banna Chahte ho to is dil mein ALLAH ko apna bana lo or MUHAMMAD S.A.W ki zindagi ko Apna lo
Comments