Hajjj History in Urdu

Hajjj History in Urdu,

Hazrahim (A.S) saw a dream that he slaughtered his sons. He was very upset. Hazrahim (A.S) said his son Hazrat Ismail I saw dream that I am slaughtering you. Son ( Hazrat Ismail A.S) said it is nothing to worry. I agree, you have to sacrifice me in the cause of Allah. Both father and son have come to sacrifice to the cause of Allah. When Abraham was willing to sacrifice his son angel put an animal in front of them. From then all the Muslims of the world sacrifice animal as a memory.

 Hajj ki Tareekh

Surah Ibrahim ayat 37 mein irshad hota hai:" aye parwar digar! Mein ne aik begiah wadi mein apni aulad ko tere mohtaram o muazzam ghar ke pas la basaya hai, mere rab! Yeh log yahan namaz qaim karein, lehaza aap in logon ke dilon ko is ka mushtaq bana, inhein khane ke liye phal enayat kar shayad keh yeh log shukar guzar banein."
Mustand rawayaton ka biyan hai keh Hazrat Ibrahim A.S) ne khwab mein dekha keh woh apne iklote aur chehite bete ko jo in ke burhape ka sahara banne wala hai, apne dast mubarak se zabah kar rahe hain to woh samajh gaye keh in ka malik in ke iman aur in ki himmat ka imtehan lene ke liye in se qurbani talab kar raha hai, chunan chah woh is aazmaish mein poore utar ne ke liye taiyar ho gaye.

Yeh insani qurbani apni noiyat o kaifyat ke lehaz se insani tareekh ki sab se pehli aur aakhri azeem ulshan qurbani thi , kiun keh yeh sirf Allah ke liye thi, kisi maabood ya dewta ke liye nahi thi. Baap apne bete ko apne hath se (zabah) qurban karne ke liye taiyar ho gia tha, warnah aam tor par yeh kaam koi aur shakhs anjam nahi de skta tha, aur phir yeh keh jise qurban kia jana tha, woh khood bhi poori khush dili se zabah hone ke liye samne aagia tha warnah is se pehle pakar dhakar kar zabar dasti zabah kia jata raha tha.

Quran majeed qurbani ke is azeem aur nadir waqiye ko is tarah biyan karta hai:" kal jab woh larka ibrahim ke sath dor dhoop karne ki umer ko puhanch gia to aik roz ibrahim ne kaha keh beta , mein khawab mein dekhta hon keh mein tujhe zabah kar raha hon. Ab tu bata tera kia kheyal hai? Bete ne kaha abba jan! Jo kuch aap ko hukum dia jaraha hai, kar dalye, aap insha Allah mujhe sabir o shakir rehne walon mein payein gay.

Aakhir jab in donon ne sar tasleem kham kar dia aur Ibrahim ne bete ko mathe ke bal gira dia to hum ne is ko nida di:" aye ibrahim! tu ne khawab sach kar dikhaya, hum neki karne walon ko aisi hi jaza dete hain. Yaqinan yeh khuli aazmaish thi aur hum ne bari qurbani fidye mein de kar Is bache ko chura lia aur is ki tareef o toseef hameshah ke liye baad ki naslon mein chor di. Salam hai aye Ibrahim neki karne walon ko aisi hi jaza dete hain. Yaqinan woh hamare momin bandon mein se the aur hum ne ise Ishaaq ki basharat di aur aik nabi saleheen mein se ise aur ishaaq (A.S) ko barkat di.(surat sifat 101-103)

Mandarjah bala aayat se darj zel amoor wazah ho kar samne aaye

Hazrat Ibarahim ne khawab mein yeh dekha keh woh apne bete ko Allah ki rah mein qurban kar rahe hain, lekin is waqt inhon ne khawab ka matlab yahi samjha keh Allah tala in ke imani dawe ki sachayi ka imtehan lene ke liye bete ki qurbani talab kar raha hai. Chunan chah woh pure sakoon o waqar ke sath apne jigar goshe ko qurban karne ke liye taiyar ho gaye. Hazrat Ibrahim ne bete ko zabah karne ke liye chit nahi letaya, balkeh peshani ke bal letaya, is ki wajah yeh thi keh aap ko andesha tha keh kahin bache ka munh dekh kar pidarana muhabbat in ke hath mein larzish na paida kar de, qabal is ke keh ibraheem (A.S) bete ko zabah farmate, Allah tala ne irshad farmaya:
"Aye Ibrahim! Tune khawab sach kar dekhaya." khawab mein yeh nahi dekhaya gia tha keh aap ne apne bete ko qurban kar dia, balkeh yeh dekha gia tha keh aap "aisa kar rahe hain, is azeem aazmaish mein pore utre jis mein hum ne tumhein dala tha." bari qurbani se murad woh mendha tha jo Ismail ke fidye mein zabah karne ke liye Allah tala ke farishte ne in ko lakar dia aur yeh qurbani is waqt se hazoor (A.S) ke zamane tak Hajj ke dinon mein ki jati rahi hai. Phir aap (A.S) ke uhad se aaj tak eid ul azha ke moqah par tamam dunya ke musalman Hazrat Ibrahim (A.S) ki perwi karte huye yeh qurbani karte hain aur insha Allah qiyamat tak is qurbani ko yaad gar manate rahein gay.

Arab ki woh rawayaat jo sadyon se mehfooz chali aarahi hain, yeh batati hain keh Hazrat Ibrahim (A.S) ne apne jis bete ko mina ke moqam par qurbani ke liye Allah tala ki bargah mein pesh kia tha, woh hazrat ismail (A.S) hi the. Yeh sirf rawayat hi nahi, Hazrat Ibrahim (A.S) ke zamane se nabi kareem (A.S) ke zamana mubarak tak manasik Hajj mein yeh kaam barabar hota chala araha hai keh minah mein jis jagah Hazrat Ibrahim ne qurbani ki thi, log wahan janwar qurban kia karte the, phir jab hazoor (S.A) maaboos huye to aap (S.A) ne bhi yeh tarika jari rakha tha, ta keh aaj tak Hajj ke moqa par das zil Hajj ko mina mein qurbanyan ki jati hain. Char hazar saal se ziadah ka yeh motwatir amal is amar ka naqabil tardeed sabot hai keh Hazrat Ibrahim (A.S) ki is qurbani ke waris banu ismail (A.S) hain jis mein sari ummat muslimah bayak waqt qurbani karti hai aur ise Hazrat Ibrahim (A.S) ki yaadgar samjhti hai. Dua hai keh Allah tabarak o tala hamein aur tamam ummat muslimah ko har saal khaloos o muhabbat ke sath yeh qurbani karne ki tofeeq ata farmaye, Aameen...




                                                   

Comments