Hajj e Baitullah Urdu
There are five fundamental principles of Islam. Hajj is the one of the fove pillars of islam. to perform hajj at Makkah at least once in life, if circumstances permit.The pilgrimage occurs the last islamic month from 8th to12th Dhu al-Hijjah.
Hajj e Baitullah Afzal Tareen Ibadat Hai
Hajj ke lughwi maine qasad aur irade ke hain, istlah shariyat mein makhsoos ibadat ki adaigi ke liye Baitullah sharif ki ziarat aur moqamaat moqadasah mein makhsoos afaal makhsoos dinon mein anjam dene ko Hajj kaha jata hai.
Quran pak ki mukhtalif aayat mein Hajj ka zikar aaya hai jin mein se do ko zel mein pesh kia jaraha hai.
1- log aap (S.A) se helal (naye chand ) ke bare mein poochte hain aap (S.A) keh dejye keh yeh logon ke kamo ki meyadein aur Hajj ka waqt maaloom hone ka zariyah hai. (Surah Baqra -189)
2- Aur Hajj o Umrah ko Allah ke liye pura karo. (Surah Baqrah-196)
Goya Hajj shariyat mein maaroof ibadaat ki adaigi ke liye baitullah ki ziarat ka naam hai jo ahraam, tawaf, sayi aur halq ya qasar par mushtamil hoti hai.
Manasik e Hajj
Quran pak mein yeh lafz mulaqa ibadat ya tarika ibadat ke mane mein istemaal hua hai.Irshad bari tala hai:"Hum ne har ummat ke liye ibadat ka aik tariqa moqarrar kar dia hai jis par vo chalte hain(Suraht ul Hajj-67)
Aik aur moqam par irshad hota hai: "Pas jab tum apne manasik (Aamal Hajj ) poore kar lo to Allah ko yaad karo.
Hijj ul wida ke moqa par Rasool Akram (S.A) ne rami karte huye yun irshad farmaya: "Aye logo! Apne manasik (Hajj ke afaal) seekh lo, kiun keh shayad mein is saal ke baad Hajj na kar sakoon." Gharz manasik ke yahi mane ziadah maaroof hain keh is se Hajj o Umrah ke aamal o afaal murad hain jaise tawaf o sayi halaq o qasar, waqoof arfah, mazdalfah, qurbani aur rami jamraat waghirah.
Hajj Islam ka Aham Tareen Rukun
Hajj ke be shumar fazail Rasool Allah (S.A) se marwi hain jinhein mohaddaseen ne kutub ahadees mein jama kar dia hai. Yeh fazail apni jagah, lekin in sab se moqaddam Hajj ki yeh haisyat hai keh yeh islaam ka ahum tareen rukun aur satoon hai jis par deen e islam ki imarat qaim hai. Is se murad yeh huyi keh Hajj ke beghair islaam ki imarat naqis o na mukammal hai. Yahi wajah hai keh zindagi mein kam az kam aik martabah hajj e baitullah ko har is shakhs ke liye farz qarar dia gia jo baitullah shareef tak puhanchne ki istetayat rakhta ho. Lekin jo shakhs is istetaayat o qudrat ke bawajood Hajj na kare, is ke liye Quran o Hadees mein shadeed wayeed biyan huyi hai.
Islam ke arkan biyan karte huye aik moqa par Rasool Akram (S.A) ne irshad farmaya:" Islam ki bunyad panch cheezon par hai: is baat ki gawahi dena keh Allah ke sewa koi maabood nahi aur Muhammad (S.A) Allah ke rasool hain. Doosre namaz qaim karna teesre zakat dena, chothe Hajj karna aur panchwan ramzan ke roze rakhna."
Quran pak mein Hajj e baitullah ka zikar is tarah aaya hai. Irshad bari tala hai: aur logon par Allah ka haq hai keh jo koi is ke ghar (baitullah shareef) tak punchne ki istetayat rakhta ho, woh is ki ziarat kare (yani Hajj kare) aur jo koi inkar kare to allah sare jahan se be neyaz hai." (surah al imran-97)
Yani koi shakhs Hajj ka inkar kar ke ya farizah Hajj ada na kar ke Allah ki azmat o shan aur is ki kibriyayi mein zarrah barabar bhi kami nahi kar skta , kiun keh Allah tala sare jahan se be neyaz hai. Vo kisi ki hamd o sataish aur ibadat o atayat ka mohtaj nahi. Is sari hamd o sataish aur ibadat ka faidah to khood is bande ko puhanchta hai jo is ki atayat o bandagi mein mashghool aur is ki hamd o sataish mein masroof rehta hai.
Afzal Tareen Amal
Hajj aisi ibadat hai jise behtar aur afzal amal qarar dia gia hai. Kon se aamal afzal hain? Ya darje aur martabe ke lehaz se kon sa amal kis amal par foqyat rakhta hai, is silsile mein syedana Aabu Hurairah (R.A) darj zel rawayat naqal karte hain. Aik martaba rasool pak(S.A) se daryaft kia gia keh konsa amal afzal hai? Nabi haq (S.A) ne irshad farmaya: "Allah aur is ke rasool par iman lana" phir khidmat nabwi (S.A) mein arz kia gia: is ke baad kon sa amal afzal hai? taj dar anbiya (S.A) ne irshad farmaya:"Allah ke raste mein jehad karna". Daryaft kia gia:" is ke baad?" Risalat muab ne irshad farmaya: " mqbool Hajj" Iman ke beghair to koi amal Allah ke han qabil qabool nahi lehaza Allah aur is ke rasool (S.A) par iman , toheed o risalat ka iqrar o aitraf yaqeenan sab se moqaddam aur tamam aamal saliha ki qaboolyat ke liye bunyadi aur aham tareen shart hai.
Quran o hadees mein yeh haqiqat buhat hi wazahat ke sath biyan huyi hai. Iman ka talluq , aaza o jawarah se barh kar dil se hai, goya yeh dil ka fel aur amal hai. Iman o jehad ke baad sab se moqaddam aur bar tar amal Hajj mabroor yani mqbool Hajj hai. Aik hadees mein ise mashriq o maghrib ke darmiyan tamam aamal se afzal qarar dia gia. Hazrat Maaz (R.A) rawayat karte hain keh Nabi (S.A) se daryaft kia gia keh konse aamal afzal hain?
Chunanchah Allah ke habeeb (S.A) ne jawab mein irshad farmaya:" aik Allah par iman lana phir jehad (yani allah ke raste mein jehad karna) phir mabroor Hajj suraj ke tulu o gharoob ( yani mashriq o maghrib) ke darmian tamam aamal par fazilat rakhta hai.
aik doosri rawayat mein Hajjj mabror ke sath umrah ka bhi izafah kia gia hai.
iman o islam aur jehad fi sabilillah ki fazilat aur is ki mazeed tozeeh ke baad Rasool Allah (S.A) ne irshad farmaya: "yeh do amal vo afzal tareen aamal hain han sewaye is ke keh koi shakhs in donon ke masal (koi neki) kare ( aur vo do afzal amal yeh hain ) Hajj mabroor aur umrah .

Comments