Farz and Wajibat of Namaz


Farz and Wajibat of Namaz


There are 14 farz in namaz in which some of them are must be doing before the namaz and some of them are doing during namaz. For prey namaz should be clean space where you prey namaz, clothes, body. More detail read in bellow in Urdu.


Faraiz aur Wajibat-e-Namz:

Namaz ke 14 farz hain jin mein se chand aise hain jin ka namaz se pehle ada karna zaruri hai aur in ko namaz ki sharait bhi kaha jata hai. aur chand faraiz aise hain jo dakhil namaz hain in sab ki fehrist yeh hai.

1. Badan ka pak hona 

2. Kapron aur jaye namaz ka paak hona.

3. Satar aurat yani mardon ko naaf se ghutnon tak aur auraton ko chehre aur hathilion aur qadmon ke elawa tamam badan ka dhakna farz hai. 

4. Namaz ki jagah ka paak hona.

5. Namaz ka waqt hona.

6. Qiblah ki taraf rukh yani khara hona. Namaz ki niyat karna yeh sab sharait hain.

7. Takbeer tahrimah 

8. Qiam yani khara hona. 

9. Qarat yani aik bari aayat ya teen choti aayatein ya aik choti surat parhna.

10. Ruku karna.

11. Sijdah karna 

12. Qadah akhirah 

13. Apne iradah se namaz khatam karna.

14. Agar in mein se koi cheez bhi jaan kar ya bhul kar rah jaye to namaz na hogi. Do barah parhna farz hoga.

Wajibate Namaz:

Zel ki cheezen namaz mein wajib hain. 
1. Alhamd parhna 

2. Is ke sath koi surat milana

3. Farzon ki pehli do rikaton mein qirat karna.

4. Al hamd ko surat se pehle parhna

5. Ruku kar ke sidha khara hona.

6. Donon sijdon ke darmian baithna.

7. Pehla qada karna

8. At-tahyat parhna

9. Lafz salam se namaz khatam karna 

10. Zuhar-o-asar mein qarat aahistah parhna

11. Imam ke liye maghrib-o-isha ki pehli dono rikaton aur fajir-o-jumma-o-eid aur taravi ki sab rikaton mein qarat buland aawaz se parhna 

12. Witr mein dua-e-qunoot parhna

13. Duaye qunoo se pehle takbeer kehna

14. Eid mein che zaid takbeerein kehna.


Comments