Eid ul Fitr


Eid ul Fitr

Shawwal is the tenth month of the lunar Islam calender. The first day of shawwal is called Eid ul fitr. Eid ul fitr is Arabic word, Eid mean fastivity while fitr means breaking the fast. The muslims are fasting during the whole month of Ramazan. The Eid celebrates the conclusion of fasting. In this page you can read abou eid, eid ul fitr, shawwal, nafil namaz, nafil roza, fasting, eid mubarak and shawwal meaning.
Shawwal:

Musalman Ramzan ul Mubarak kay mahinay kay baad aik mazhabi khushi ka tehwar manatay hain jisay Eid ul Fitr kaha jata hai. Yeh yakum Shawwal ul mukarram ko manaya jata hai. Eid ul Fitr, ya Eid aam Islam ka aik mazhabi tehwar hai jo keh mah ramzan ul mubarak kay ikhtatam ki nishandahi karta hai aur har saal bari dhoom dham say yakum Shawwal ko manaya jata hai jabkeh Shawwal islami Calander ka daswan mahinah hai.

Eid Arabic zuban ka lafz hai jiskay mainay, khushi, jashan, farhat aur chehal pahal kay hain jabkeh fitr kay mainay rozah kholnay kay hain, yani rozah torna ya khatam karna. Eid ul fitr kay din rozon ka silsilah khatam hota hai, is roz Allah tala bandon ko rozah aur ibadat ramazan ka sawab ata farmatay hain. Lehaza is tehwar ko Eid ul Fitr qarar dia gia hai.

Hazrat Muhammad (S.A) nay ramzan sharif kay mubarak mahinah kay mutalliq irshad farmaya hain keh is mahinay ka pehla ashra rehmat, dusra maghfarat aur teesra shrah jahannam say aazadi ka hai. Maaloom hua keh yeh mahinah rehmat, maghfarat aur jahannam say aazadi ka mahina hai. Lehaza is rehmat, maghfarat aur dozakh say aazadi kay inaam ki khushi mein hamein Eid saeed ki khushi mananay ka moqa faraham kia gia hai aur Eid ul fitr kay roz khushi ka izhar karna sunnat hai. Lehaza adaye sunnat ki niyat say hamein Allah kay fazal o rehmat par zaroor izhar musarrat karna chahiye keh Allah kay fazal o rehmat par khushi karnay ki targheeb to hamein khood Allah tala ka sacha kalam bhi day raha hai. Sarwar e kainat (S.A) farmatay hain keh Shawwal ul mukarram bari azmat o buzurgi wala mahina hai aur is mah ki ibadat ka buhat sawab hai.

Nafil Namaz:

Pehli shab mah Shawwal baad namaz isha char rikat namaz do salam say parhay, har rikat mein surah fatiha kay baad surah Ikhlas 21, 21 martabah parhni hai, insha Allah tala is namaz parhnay walay kay liye Allah pak jannat kay darwazay khol de ga aur dozakh kay darwazay band kar day ga.

Shawwal ki pehli shab baad namaz isha char rikat namaz do salam say parhain, har rikat mein surah fatiha kay baad surah Ikhlas teen, teen dafa surah falaq 3, 3 dafa surah Naas 3, 3 dafa parhay. baad salam kay kalmah tamjeed 70 martabah parh kar apnay gunahon say tobah karay. Allah pak is namaz ki barkat say insha Allah tala is kay guanah muaf farma kar tobah Qabool farmaye ga.

Nafil Roza:

Mah shawwal ul mukarram ki dusri tareekh say 6 rozay rakhnay ki bari fazilat hai. Farmaya Rasool Aqdas (S.A) nay keh jo rakhay 6 rozay shawwal kay to day ga Allah pak isay sawab hazar rozah ka aur karay ga is par aag dozakh ko haram aur is kay namah aamal mein bay shumar nekiyon ka sawab ata karay ga. Khua yeh razay barabar rakhay ya dusray ka rakh kar chor day magar isi mah tamam rozay rakh kar puray karnay hon gay.



Comments