Asalam O Alikum
Ajj mein dua kay hawalay se thori baat karna chahta hon bohat say log mayus hojate hain kay ALLAH humari dua suntay hi nahii... tow aisa nahi hai
YEh KAINAT mein aj tak hua nahi kay ALLAH nay kisi ki dua na suni ho yeh aj tak nahi hua SHAITAN jo itna bara mardud hai itna bara nafarman ALLAH ka
jab ALLAH us ko nikal rahe thay kay nikal ja yahan se wo ALLAH kay mizaj say waqif tha us nay dus kay dus (10) DUAEIN ALLAH se mangii kay mujhe qayamat tak zindagi day
yeh de wo de ALLAH nay wahi qabool karli lekin ALLAH nay yeh bhi us ko kaha jab tak to mere bando ko behkayega jab bhi wo kahega YA ALLAH meri TUABA mein
sare hi maf kardunga un kay to yeh to ek izafi baat thi to baat mein yeh karaha tha dua ki to hota hai yeh hai 3 batein hoti hain DUA MEIn
1. ALLAH foran kabol karlete hain DUA KO
2. ALLAH delay karte hain kay mein yeh nahi is se acha mere banday ko dunga us kay standard ka
3. ALLAH kehte hain mere banda namaz mein bhi kamzor hai rozay mein bhi ALLAH us ki dua shambhal lete hain or jab AKHRAT mein wo ALLAH kay pass jaega
to ALLAH us ko yeh DUAEIN Dikhayegein to us kay dil se ahh niklegi kash meri ek bhi dua na kabul hui hoti..
Or ek or baat bohat zaruri DUA ki kabuliyat kay liye naik or bad zaruri nahi hai us kay liye ek muztarib DIL CHAYYE or app ko ek baat batao sach
jab ap DUA mango agar ap ka aanso nikal ae na to samjh jao DUA KAbul hogai wo RECEIPT Received Hota hai to aisa hi mamla hai kayALLAH kehte hain
bas hogai Dua kabul jab DIL royega jabhi to ankh se anssoo aegein or DUA ka tarika kia hai
Dono hathon ko milao apnay kameez kay second button tak rakho thora fasla rakho or asmaan ki taraf jhukao
ALLAH humari Dua ko mehaz apne Fazl O Karam Say Kabul Farmaye...
Comments