Difference between women and men in prayer

Difference between women and men in prayer

Women how to pray the same prayer as described how to pray Namaz. But few things are different in men and women of prayer which is written in Urdu. You can read in this page mard aurat ki namaz, namaz ka tariqa, namaz urdu, mard aur aurat ki namaz ka farq in Urdu.

Mard aur Aurat ki Namaz ka Tarika:

Aurat bhi isi tarah namaz parhein jaise namaz parhne ka tareeqa biyan kia gia hai lekin chand cheezon mein mard aur aurat ki namaz mein farq hai who niche likhi jati hai.

Takbeer tahrimah ke waqt mardon ko chadar waghairah se hath nikal kar kanon tak uthana chahiye. Aur autaron ko har haal mein be ghair hath nikale huye kandhon tak uthana chahiye.

Takbeer tahremah ke baad mardon ko naaf ke niche hath bandhna chahiye aur auraton ko sine par.

Mardon ko dayain hath ki choti ungli (finger) aur anguthe (thumb) ka halqah bana kar bayein hath ki kalayi ko pakarna aur baaqi teen ungliyon ko bayein kalayi par bicha dena chahiye aur auraton ko dahini hathili bayein hathili ki pasht par rakhna chahiye. Mardon ki tarah halqah bana kar bayain hath ko na pakarna chahiye.

Mardon ko ruku mein achi tarah jhukna chahiye keh sar aur pusht barabar ho jayain aur auraton ko sirf is qadar jhukna chahiye keh jis se in ke hath ghutno tak puhanch jayain.

Mardon ko ruku mein ungliyan kushadah kar ke ghutnon ko pakarna chahiye aur auraton ko be ghair kushadah kiye huye mila kar rakhna chahiye.

Mardon ko halat-e-ruku mein kehniyan pehlo se alahda (separate) rakhni chahiyein aur auraton ko mili huyi rakhni chahiye.

Mardon ko sijde mein pait ko ranon se aur bazu ko baghal se juda rakhna chahiye aur auraton ko milakar rakhna chahiye.

Sijde mein mard ki kehniyan zameen se uthi huyi hon aur auraton ki kehniyan zameen par bichi hui hon.

Mardon ko sijde mein dono paayon ungliyon ke bal ghare rakhne chahiyein magar aurtain dono payon dahini taraf ko nikal dein.

Mardon ko baithne ki halat mein bayein payon par baithna chahiye aur dahne payon ko ungliyon(fingers) ke bal khara rakhna chahiye aur auraton ko dono payon dahini taraf nikal kar baithna chahiye.

Auraton ko kisi bhi waqt buland aawaz se qaarat karne ka ikhtiyar nahi balkeh who har waqt aahistah aawaz se qarrat karein aur mardon ke liye baaz halat mein buland aawaz se qarrat parhna wajib hai aur baaz halat mein jaiz hai.

Comments